Zaroori Tha 2 Lyrics – Rahat Fateh Ali Khan Is Latest Song Starring with Vishal Pandey, Vikas Singh & Aliya Hamidi. And Music Composed By Kamran Akhtar Written Lyrics By Mujtaba Ali.
Zaroori Tha 2 Lyrics Song Info
Song Title: | Zaroori Tha 2 |
Singer: | Rahat Fateh Ali Khan |
Music / Composer: | Kamran Akhtar |
Lyrics: | Mujtaba Ali |
Music Label: | Gem Tunes |
Zaroori Tha 2 Lyrics
Kya yeh laazim tha
Har ik roz tadapte jaana
Hijra ki aag mein
Jal jal ke pighalte jaana
Main to anjaan tha
Tumne hi sikhaya hai mujhe
Waqt ke saath hai
Kaise badalte jaana
Teri bebak nazron se
Ulajhna bhi zaroori tha
Zaroori thi mohabbat to
Samajhna bhi zaroori tha
Kya hota ek manzil ke
Musafir saath hi rehte
Tha rehna zakhm tera jo
Woh bharna bhi zaroori tha
Teri bebak nazron se
Ulajhna bhi zaroori tha
Abhi to saath chalne mein
Sukun tumse mila hi tha
Manaane ki jo rasmein thi
Hai baaki roothna bhi tha
Shikayat tumko thi mujhse
To mujhse hi gila karte
Jo aansoo behna chahte ho
Nahi unko piya karte
Batao kya yeh laazim tha
Tadapte chhod kar jaana
Sile mein in wafaaon ke
Tadapna bhi zaroori tha
Teri bebak nazron se
Ulajhna bhi zaroori tha
Jahaan milte the hum donon
Wahan jakar boahat roya
Jise khone se darta tha
Woh aakhir maine hai khoya
Teri tasveer dekhoon to
Nahi aata yakeen mujhko
Magar do rukh hain is tasveer ke
Ab hai yakeen mujhko
Kahan tu mujhme mausam sa
Yahaan aaya kahan badla
Mujhe tumne yeh sikhlaya
Badalna bhi zaroori tha
Zaroori thi mohabbat to
Samajhna bhi zaroori tha
Teri bebak nazron se
Ulajhna bhi zaroori tha