Khatam Karona Lyrics – Emiway Bantai

Khatam Karona Lyrics (ख़तम करुणा) Song from Pop And Singer Is Emiway Bantai Music composed by Psyik Write lyrics by Emiway.

Song Title: Khatam Karona
Singer: Emiway
Music: Psyik
Lyrics: Emiway
Music Label: Emiway Bantai

Khatam Karona Lyrics by Emiway
Haan maalum hai na
Ae door raho door raho
Ek doosre se

Aah taiyyar hai ki nai public
Ghar baithe bithe machao
Bahar mat jaao gaane suno
Sanitizer lagao aur suno

Corona virus nai
Beta yeh karma hai
Corona virus nai
Beta yeh karma hai
Corona virus nai
Beta yeh karma hai
Karma hai karma hai
Ae haan

Haan corona virus nai
Beta yeh karma hai
Dharti ka gussa hai
Sabko hi darna hai
Ab se nai karna hai prithvi ko ganda
Sab kuch chhod ke ab ghar baitha banda
Chal beta ban jaa sahi nagrik
Intazaar hai us taareekh
Kab hoga sahi?
Jab hoga sahi

Sab ke zuban pe ek hi sawaal hai nai
Ghar baithe maze karo
Kyun karen dimag ka dahi
Bimaari phailega nai
Call karo baat karo agli ko miss karo
Famous hone ka to mere ko diss karo
Kuch bhi karo par ghar baitho
Kiss karo mummy aur papa ko
Kaam karo wish karo

Ae bahar nai jaane ka laathi barsa rele
Police ko salute hai duty nibha rele
Doctor log zindagi jaanen bacha rele
Tum kyun mara rele haan

Duniya ko insan ne ganda kar dala
House arrest pe sab gussa hai upar wala
Tu kuch bhi kyon kha ra
Khaane ko halwa gajar hai
Zameen se niklela fruit hai
Har cheez mein chhoot hai
Insan hi ban gaya bhoot hai

Aapas mein lad rele jaati aur dharam pe
Bhool gaye hain insaniyat haivan bane
Bharosa bacha nai beiman bane
Do din ki duniya mein mehman hum hain
Achche jeene ka, jaane ka, khaane ka, peena ka
Kisi se kuch bhi nai lene ka

Dil khol ke dene ka maheene ka pagaar
Doosre ka kha ke tu maarega dakar
Khud ko to sudhar matlabi duniya se
Mat le be udhar badloge vichaar
Daal chaawal achaar kha ke tu khush reh
Raaste mein kidhar bhi kaaye ko tum thook re
Chup reh, kutre aapas mein loot re
Sabko salaah doonga
Jaldi se sudhre, aah

Haan hawa ho raha saaf, paani ho raha saaf
Maalik insano ko kar dena maaf
Ab se na dohrana purani harkatein
Phir se na milega mauka insanon ko
Sabak seekhne mila sabhi haivano ko
Chalo milke khatam karein keetanu ko
Ghar pe raho ek hi upaye hai
Duniya ko bachane hum hi sipahi hain
Kya

Carona se daro na
Ghar baitho aur khatam karona

Leave a Comment