Mard Maratha Lyrics – Panipat | Ajay-Atul

By marathiplus

Updated on:

Mard Maratha Lyrics - Panipat

Mard Maratha Lyrics (मर्द मराठा) Song from Panipat And Singer Is Ajay-Atul, Kunal Ganjawala Music composed by Ajay-Atul Write lyrics by Javed Akhtar.

Song Title: Mard Maratha
Singer: Ajay-Atul, Kunal Ganjawala
Cast: Aakash Ahuja, Sachin Khedekar
Music: Ajay-Atul
Lyrics: Javed Akhtar
Music Label: Zee Music Company

Mard Maratha Lyrics
Hey bole dharti jaikara
Gagan hai sara goonja re
Jag mein lehraya nyara
Dhwaj hai hamara uncha re

Hum woh yodha, woh nidar
Hum jo bhi disha mein jayein
Saare path charan chhuyein aur
Parbat sees navaye
Raaste se hat jaayein
Nadiyan hoke hawayein

Hum hain jiyale jeetne ko hum
Rann mein utarte hain
Hum suraj hain ant humi
Raaton ka karte hain
Yug yug ki zanjeeron ko humne hi kata re
Bol utha yeh jag sara jai mard maratha re

Jo rakt hai tan mein behta
Woh humse hai yeh kehta
Samman ke badle jaan bhi dein
To nahi hai ghata re

Yug yug ki zanjeeron ko humne hi kata re
Bol utha yeh jag sara jai mard maratha re
Yug yug ki zanjeeron ko humne hi kata re
Bol utha yeh jag sara jai mard maratha re

Veerta humne boyi aur yeh phal paya
Door tak ab hai phaili apni hi chhaya

Jeevan jo ranbhoomi mein karta hai tandav
Aaj usi ne hai vijay ka nagada bajaya
Apni hai jo gaatha ab hai samay sunata
Sab ko hai yeh batata kaise sukh humne baanta re

Yug yug ki zanjeeron ko humne hi kata re
Bol utha yeh jag sara jai mard maratha re
Yug yug ki zanjeeron ko humne hi kata re
Bol utha yeh jag sara jai mard maratha re

Sach ke sipahi, albele raahi
Kya jaante ho tum
Jab tum nahi the hum kab yahin the
Hum bhi the jaise ghum
Tum dhyan mein the, tum praan mein the
Jaise janam janam
Jab teer tumpe barse to
Jaise ghayal huye the hum

Ho dekho to mujhse keh ke
Main jaan de doon tum pe
Kya tum nahin yeh jaante
Duvidha ke aage jab naari jaage
Himmat se kaam le
Choodi utaar. kangan utaar talwar thaam le

Maine li aaj shapath hai
Veeron ka path hai mera re
Lakshya apna jo bana loon
Wahin daalun dera re

Hum woh yodha, woh nidarr